Posts

Showing posts from February, 2019

Parinda..

Image
Kal tak jo uchi udaa bhar rha tha, Bada dara sehma sa hai aaj wo parinda.. Na jaane wo kaun tha, Jo uske parr kutar gya..               - - mithi 😊 

Pehlu..

Image
Teen pehlu hai zindagi ke, Ek me khusi hai ek me gum hai, Aur tisre pehlu ka kamra band hai..                            - - mithi 😊 

Awaaz

Image
Aaj rubaru na hue  unke awaaz se,  Aaj rubaru na hue  unke awaaz se, Humne chand ko dekh kar tasal-li kar liya..                        - - mithi 😊                    (for someone special) 

Yaadein

Image
Kuch chije banjar hi pasand hai mujhe, Un jakhmo ko ab hara nhi hone deta hu.. Jaan na aajaye teri yaadon me, Iss wajah se unhe pyasa hi rakhta hu..                         - - mithi 😊

Tahreer

Image
Mehfil me sune (heard) har saf (lines) ghazal nhi hote, Koi shaksh beintehan toota hai unki tahreer (in writing) me..                                    - - mithi 😊

Rooh (रूह) (story telling)

Image
Kuch ho gya hai mujhe, pata nhi kya par kuch der pehle mai apne bhai ke saath sadak pe chal rha tha. Aur achanak mere seene me joro se dard mehsoos hua, mai jameen pe girr pada, mujhe yaad hai ki mera bhai ro rha tha. Par ab mai kahi aur hu. Mere aaspass badal hai, aur mai badalo pe chalta jaa rha hu yaa udd rha hu. Aur mere thik saamne दूधिया रोशनी me कोहरे se lipte aaksh, mujhe dekh kar khush hai, mano ki jaise mujhe pehle se jante ho. Rooh the shayad kyuki rooh marte nhi aur wo purane rishte v shayad nhi bhulte tabhi to mera intezaar kar rhe hai the. Mere raasto pe aankh tikaye baithe the, wo kuch keh rhe the "ajao tum bahot khushnasib ho, ab tum hamesa khush rahoge aur haa bhagwaan ke karib bhi, ab tum jeene-marne, sukh-dukh ke riwajo se pare ho gye ho", aur ye laabz itne madhoor the ki maano शहद v usse फीका ho, jaise ki madhosh karne wali मदिरा v wo nasha na de.. Mere liye ab manjil wahin tha, mai unki baato ko jhuthla to saka hi nhi, wo baate ap...

Karzdaar

Image
Ae watan tere talabgaar (mangne wale) hai hum muddato se, Par Unki maut ne tujhe v karzdar kar diya..                         - - mithi 😊 

Katl (कत्ल)

Image
Bade tehjib se bejubaan nikal aya mai uss mehfil se, Jaha apke jubaa ka katl ho gya waha apka kya kaam.. Na aah kar sake na waah kar sake, Aisi mushaire mai apka kya kaam.. Unhone afwaah udaya tha Ki meri jubaa khoob bikti hai, Ab isme uss katil ka kya ilzaam..                                                  - - mithi 😊