Rooh (रूह) (story telling)
Kuch ho gya hai mujhe, pata nhi kya par kuch der pehle mai apne bhai ke saath sadak pe chal rha tha. Aur achanak mere seene me joro se dard mehsoos hua, mai jameen pe girr pada, mujhe yaad hai ki mera bhai ro rha tha.
Par ab mai kahi aur hu. Mere aaspass badal hai, aur mai badalo pe chalta jaa rha hu yaa udd rha hu.
Aur mere thik saamne दूधिया रोशनी me कोहरे se lipte aaksh, mujhe dekh kar khush hai, mano ki jaise mujhe pehle se jante ho. Rooh the shayad kyuki rooh marte nhi aur wo purane rishte v shayad nhi bhulte tabhi to mera intezaar kar rhe hai the.
Mere raasto pe aankh tikaye baithe the, wo kuch keh rhe the "ajao tum bahot khushnasib ho, ab tum hamesa khush rahoge aur haa bhagwaan ke karib bhi, ab tum jeene-marne, sukh-dukh ke riwajo se pare ho gye ho", aur ye laabz itne madhoor the ki maano शहद v usse फीका ho, jaise ki madhosh karne wali मदिरा v wo nasha na de..
Mere liye ab manjil wahin tha, mai unki baato ko jhuthla to saka hi nhi, wo baate apne aap me sachai ki mehek liye ghunj rhi thi..
Mai unn badalo se भरी kohre wali raste pe badhta jaa rha tha, jidhar se ek roshni si chamak rhi thi, wo roshni thi to bahut tej bahut hi chamakdar mano ki jaise aankho se dekha na ja sake, jaise ki aankhe inn chamak ko bardasht hi na kar paye, par mai unn roshni ko bina kisi मशक्कत k dekh paa rha tha, aisa lag rha tha jaise meri ankho ko kuch nayyi si tasveer mil gayi ho, kuch naya sa manjil mil gya ho..
Mai unn rasto pe badhta hi jaa rha tha ki ek madhaam si awaaz mere kaano tak pahuchi, awaaz itni madhaam thi ki laabz samaajh pana muskil tha, mai thehra aur uss sada(voice) ko gaur farmane ki kosis ki, par kuch khanak na padi kano me.
Maine pucha rooh se jo mere aage aage chal rhe the, kyaa apke v wo awaaz kano pe padi, to wo bole ki aisa hota jab tum apni yaade piche choddd aate ho par ab koi baat nhi kyuki tum mukt ho chuke ho ya hone wale ho..
Rooh ki awaaz to maano har baar saach hi keh rhi ho, aur jhuth v ho to iss kadar saach me duboya gya ho ki jaise saach ki shaye liye ghum rhi ho..
Mai phir aage badhne laga, tabhi phir wahi awaz iss baar pehle se kuch tej thi par saaf nhi, abhi v samajh pana muskil tha,
Mai ruka wo awaaz kuch jani pehchani si lagi iss baar, maine ankhe band ki aur gaur se sunne ki kosis ki..
Mai ruka wo awaaz kuch jani pehchani si lagi iss baar, maine ankhe band ki aur gaur se sunne ki kosis ki..
To awaaz ab pehle se kuch saaf sa tha par abhi v samajh me na aarha tha.
Mujhe mehsoos hua ki mai manjil pe to aa gya hu par piche kuch to reh gya hai, jis raste mai aya hu wo rasta alag hai, mujhe to kisi aur raste se manjil ko milna tha,
Mai ab awaaz saaf saaf sunn paa rha tha pehle se tej, mera naam pukaar rhe the, aur kuch rote hue gum se bhare laabz mere kano pe padte hi jaise mujhe khich rhi ho apne taraf, jaise ki wapas mujhe bula rhi ho aur mai apne aap ko sambhal na paa rha hu, aur unke taraf khichta chala jaa rha hu, rooh mujhe rokne ki kosis kar rhe ho keh rhe ho ki "unhe na suno tum manjil ke bahut karib ho kuch aur kadam aur tum inn awaazo se v mukt ho jaoge", par rooh ab mujhse door ho rhe the aur mai awaaz ki taraf khicha ja rha tha..
Aur achanak se mere ankho par andhera tha, wo badal, wo roshni jaise sab khamosh andhakar me chup se gaye the, kahi darr to unke mann me v tha andhakar se, ye kaala sa andhakar ankho me har taraf tha..
Par wo awaaz ab v kano me thi wo pukarne wali awaaz wo gum wali pukar ab bhi kano me jaise chikh rhi ho, par iss baar kafi tej thi jaise wo bilkul mere karib se aa rhi ho, jaise ki wo mere saath hi ho..
Mai wapas sukh dukh, jeene marne ki duniya me tha, maine rooh ko dekha tha, maine apne aap ko manjil ke karib paya tha, maine शहद se meetha kuch hota hai ye jana tha, maine saach ko suna tha, maine rooh ko mehsoos kiya tha....
- - mithi☺️☺️
Comments
Post a Comment