Posts

Showing posts from April, 2019

Ek khat mere maazi ke naam..

Image
Suno na, mere maazi(past) ka mai, Kuch batana tha tujhe.. jo tum choti si baat pe daar jaya karte the, Bas thoda sa himmat karna tha tujhe, Tumse jyada log dare hue hai, ye batana tha tujhe.. Ab mai nahi darta ye batana tha tujhe.. Tum jo har maat (haar) pe ro padte the, jaise ki sab kuch khatm ho gya ho, Kehna chahta hu ki bas thoda sa sabr rakhna tha tujhe, Yaha sab haare hue hai, ye batana tha tujhe.. Ab mai nahi rota ye batana tha tujhe.. Tum jo har rishte ke liye raat se jhagad padte the, Bata du ki bas kuch pal theher jana tha tujhe, Rishto ki kadr sabhi nhi karte yaha, ye batana tha tujhe, Ki Sabhi laut kar nhi aate, ye batana tha tujhe.. Ab mai theher jata hu, Ki jo laut aayega uske liye jhagadna hai mujhe, Mere maazi ka mai, Soon kuch batana tha tujhe..                  - - mithi ๐Ÿ˜Š 

Khuda chahiye tha

Image
Uski dosti thi to mujhe ishq chahiye tha, Na ishq rha na ab dosti tha, sharm ata hai ki kya batau mai kitna hariis tha, Jab maa thi mujhe khuda chahiye tha..                                  - - mithi ๐Ÿ˜Š

Tera seher

Image
Jinn gaano ko kai dafa suna krta tha mai, Unn gaano me hue   tere seher ka zikr ab mujhe bechain kar deta hai..                              - - mithi ๐Ÿ˜Š

Iss baar tu

Image
Kabhi duniya se to kabhi zindagi se, Kyu hamesa koi mera chala jaye.. Mai hi kyu suruwat karu, jab koi ruth jaye Mai hi kyu haath badhau, jab koi chhut jaye.. Mai hi kyu bolu, jab koi shant ho jaye Mai hi kyu chalu, jab koi ruk jaye.. Iss baar tu haath badha de.. Iss baar mai rutha hu, tu hasa de Iss baar mai khoya hu,aaja tu rasta bata de.. Tu reh gya hai piche shayad mai hi aage nikal aya hu Iss baar aaja rok mujhe saath chal sikwe bhula de.. Hoon mai akela jara haath badha de Ab Mai rutha hu tu mana le .. Iss baar haath tu badha de..                              - - mithi ๐Ÿ˜Š

Sochta hoon

Image
Sochta hu ki kya unhe v khalta hoga hamara saath na chalna,  Ki unn rasto par chalna par saath na chalna,  Banaye kasti humne v kam banaye magar,  Khal gya mujhe ek kasti ka samandar par na chalna.. Unko v arzoo hai mukhatib hone ki, Baat karna par khud suruwat na karna.. Unka ishq v haa ra (เคนाเคฐा) to mustakbil(future) ke khilaf, Ki ek hi manjil pe chalna par saath na chalna..                            - - mithi ๐Ÿ˜Š