Ek khat mere maazi ke naam..



Suno na, mere maazi(past) ka mai,
Kuch batana tha tujhe..

jo tum choti si baat pe daar jaya karte the,
Bas thoda sa himmat karna tha tujhe,
Tumse jyada log dare hue hai, ye batana tha tujhe..
Ab mai nahi darta ye batana tha tujhe..


Tum jo har maat (haar) pe ro padte the,
jaise ki sab kuch khatm ho gya ho,
Kehna chahta hu ki bas thoda sa sabr rakhna tha tujhe,
Yaha sab haare hue hai, ye batana tha tujhe..
Ab mai nahi rota ye batana tha tujhe..


Tum jo har rishte ke liye raat se jhagad padte the,
Bata du ki bas kuch pal theher jana tha tujhe,
Rishto ki kadr sabhi nhi karte yaha, ye batana tha tujhe,
Ki Sabhi laut kar nhi aate, ye batana tha tujhe..

Ab mai theher jata hu,
Ki jo laut aayega uske liye jhagadna hai mujhe,
Mere maazi ka mai,
Soon kuch batana tha tujhe..
                 - - mithi ๐Ÿ˜Š 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Iss baar tu

Qayamat dekha hai?