Safar ka wo chehra
Wo baat kya hai Jo kuch pal ko mere jehen me thi Par ab nahi Raat bhi to kal mere saath thi Dekh suraj ko wo bhi nikal gyi Safar ka wo khubsoorat sa chehra Aaj to saath hai abhi Na jane kab bichad jaye agle pal me kahi Yaad to rahega ye chehra Kaun jaane kaha mil jaye phir kahi Muskurati aankhein hontho pe kamal Ye rail ki dhadkan Uska bhi dhadkan Kab goom ho jaye kahi Pas baithi hai wo Nain takrate hai meri Lamha bhar ko baat bhi hua Ankho se hi sahi Abhi to saath hai Najane kis pal ko nahi.. - - mithi 😊