Safar ka wo chehra




Wo baat kya hai
Jo kuch pal ko mere jehen me thi
Par ab nahi


Raat bhi to kal mere saath thi
Dekh suraj ko wo bhi nikal gyi


Safar ka wo khubsoorat sa chehra
Aaj to saath hai abhi
Na jane kab bichad jaye agle pal me kahi


Yaad to rahega ye chehra
Kaun jaane kaha mil jaye phir kahi


Muskurati aankhein hontho pe kamal
Ye rail ki dhadkan
Uska bhi dhadkan
Kab goom ho jaye kahi


Pas baithi hai wo
Nain takrate hai meri
Lamha bhar ko baat bhi hua
Ankho se hi sahi


Abhi to saath hai
Najane kis pal ko nahi..
                - - mithi ๐Ÿ˜Š

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Iss baar tu

Qayamat dekha hai?